Wednesday, 6 January 2016
Tasveer
Aankh Mein Khamoshi, Labon Pe Sawaal, Rukh Pe Saadgi
Kaise Kaise Rang Hain Is Tasveer Mein
Well, I thought of beginning this new year by dedicating this Blog to the renowned Pakistani poet - Ahmad Faraz
Hope you liked his lines on Tasveer (which means Chitr - Picture / Photo)
I'm gobsmacked by his Superb Shayari :-)
He's the one who wrote Ghazals like
Ranjish Hee Sahi Dil Hee Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa
and also
Ab Ke Hum Bichhde Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen
Jis Tarah Sookhe Huwe Phool Kitaabon Mein Milen
__________________________________
He died in August 2008. It's been about 8 years this world has lost him.
Wherever he is, may his soul rest in peace, may he be blessed forever for giving us such immense poetic pleasure :-)
If he has taken rebirth, may his new life be full of blessings and happiness :-)
Here are some samples of his precious gems.
Ungliyan Aaj Bhi Is Soch Mein Gum Hai Faraz
Usney Kaisey Naye Haath Ko Thaama Hoga....
Is Kadar Keemti Toh Na Tha Mera Chaen-O-Sukoon Faraz
Loot Kar Le Gaya Woh Kisi Anmol Khazaney Ki Tarah...
Phir Itne Mayoos Kyun Ho
Uski Bewafayi Par Faraz,
Tum Khud Hi Toh Kehte The
Ke Woh Sab Se Juda Hai?!!!
Kisi Ke Ek Aansoo Par Hazaron Dil Tadapte Hain,
Kisi Ka Umr Bhar Ka Rona Yunhi Bekaar Jata Hai
Suna Hai Zindagi Imtihaan Leti Hai Faraz
Par Yahan Toh Imtihanon Ne Zindagi Leli
Hansi Ko Main Sun Ek Baar Chaunk Utha, Faraz
Yeh Mujh Mein Dukh Chhupaane Ka Kamaal Kaisey Aa Gaya?!
Duniya Mein Mat Dhoondh Naam-E-Wafa, Faraz
Dilon Se Khelte Hain Log Bana Ke Humsafar Apna
Shayari, Aawargi, Khushbu, Wafaa, Lazzat, Sharaab,
Mukhtalif Shaklon Mein Shehzaade Ko Aurat Chahiye
Ab Usey Roz Na Sochun Toh Badan Tootta Hai, Faraz
Ek Umar Ho Gayi Hai Uski Yaad Ka Nasha Karte Karte
Na Jaane Kab Se Ho Gaye Itney Shiddat Pasand Hum, Faraz
Jab Tak Zakhm Na Khayein Tasalli Nahin Hoti
Intoxicating lines that make you feel tipsy.
Who needs wine? I don't ;-)
Faraz's magical way of saying so much in so few lines....reminds me of the Shakespearean Quote:
Brevity is the soul of wit
Hum Zamane Mein Yunhi Bewafa Mashhoor Ho Gaye Faraz
Hazaaron Chaahne Waley The, Kis Kis Se Wafa Kartey !!!
Kaun Pareshan Hota Hai Tere Ghum Se, Faraz
Woh Apni Hee Kisi Baat Pe Roya Hoga....
Usey Taraash Ke Heera Bana Diya Humne Faraz
Magar Ab Yeh Sochte Hain Usey Kharidein Kaise
Tu Kisi Aur Ke Liye Hoga Samundar-E-Ishq
Hum Toh Roz Tere Saahil Se Pyase Guzar Jaate Hain
Apni Nakaami Ka Ek Yeh Bhi Sabab Hai Faraz
Cheez Jo Mangte Hain Sab Se Juda Mangte Hain
Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shauq, Faraz
Jab Din Dhaley Tu Kisi Se Haal-E-Dil Keh Diya Kar....
Kaat Kar Zubaan Meri Keh Raha Tha Woh Faraz
Ab Tumhe Ijaazat Hai Haal-E-Dil Sunane Ki
Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wohi Pa Le Raushni,
Humne Toh Dil Jala Kar Sar-E-Raah Rakh Diya
Aa Ke Ab Tasleem Karlein Tu Nahin Toh Main Sahi,
Kaun Maanega Ke Hum Mein Se Bewafa Koi Nahi...
Ab Neend Se Kaho Hum Se Sulah Kar Le Faraz,
Woh Daur Chala Gaya Hai Jis Ke Liye Hum Jaaga Karte The
___________________________________________
And here is an excellent triad of 3 great poets - Ghalib, Iqbal and Faraz
Zara Gaur Farmaiye :-)
Zaahid Sharaab Peene De Masjid Mein Baith Kar,
Ya Woh Jagah Bata Jahan Khuda Nahin...
(Mirza Ghalib)
Masjid Khuda Ka Ghar Hai, Peeney Ki Jagah Nahin,
Kaafir Ke Dil Mein Ja, Wahan Khuda Nahin...
(Allama Iqbal)
Kaafir Ke Dil Se Aaya Hoon Main Yeh Dekh Kar,
Khuda Maujood Hai Wahan, Par Usey Pata Nahin...
(Ahmad Faraz)
Happy Pondering and Happy New Year to all of you :-)
Love,
AC :)
Tasveer taken from Getty Images dot Com / Courtesy: Boloji
Subscribe to:
Posts (Atom)